agar  tujh  se  huuñ  to  phir  aur  kyā  huuñ
maiñ  kis  jaisā  huuñ  kis  kis  se  judā  huuñ
mujhe  ma.alūm  hai  kitnā  burā  huuñ
ye  kyā  kam  hai  ki  apnā  aa.ina  huuñ
koī  dīvār  sī  TuuTī  hai  shāyad
maiñ  andar  hī  kahīñ  girne  lagā  huuñ
kabhī  to  sāmne  ā.ūñgā  apne
ki  apnī  raah  meñ  kab  se  khaḌā  huuñ
mujhe  ehsās  ne  gherā  huā  hai
maiñ  apne-āp  apnā  dā.era  huuñ
ye  merā  haath  kis  ke  haath  meñ  hai
ye  kis  ke  paañv  haiñ  jin  par  khaḌā  huuñ
mire  alfāz  patthar  ho  ga.e  haiñ
maiñ  apne  haath  se  zaḳhmī  huā  huuñ
ḳhud  apne-āp  ko  āvāz  de  kar
na  jaane  'ashk'  kis  ko  DhūñDhtā  huuñ