un  kī  god  meñ  sar  rakh  kar  jab  aañsū  aañsū  royā  thā
kuchh  lamhe  guzre  vo  lamha  merī  āñkhoñ  se  guzrā  thā
ai  sāTan  ke  niile  pardo  tum  par  ye  kis  kā  saaya  hai
kyā  mujh  ko  kuchh  vahm  huā  hai  yā  sach-much  koī  aayā  thā
jaise  darvāza  vā  kar  ke  niklā  hai  koī  kamre  se
jaise  ik  do  lamhe  guzre  sofe  par  koī  baiThā  thā
sach  sach  kahnā  ai  dīvāro  ai  tasvīro  jhuuT  na  bolo
āḳhir  hai  tū  us  kamre  meñ  jis  ne  us  kā  naam  liyā  thā
tum  to  kuchh  aise  bhuul  ga.e  ho  jaise  kabhī  vāqif  hī  nahīñ  the
aur  jo  yūñhī  karnā  thā  sāhab  kis  liye  itnā  pyaar  kiyā  thā
aaj  to  sarsoñ  kā  pīlā-pan  agnī  bhartā  hai  tan  man  meñ
ek  samay  thā  jab  yahī  mausam  khet  khet  pyārā  lagtā  thā
ek  purāne  giit  kī  dhun  ne  guzrī  yādeñ  yaad  dilā  diiñ
dāman  ko  ashkoñ  se  bhigo.e  ek  zamāna  biit  chalā  thā