kidhar  jā.ūñ  kahīñ  rastā  nahīñ  hai
kahāñ  Dūbūñ  ki  dil  dariyā  nahīñ  hai
idhar  bādal  kabhī  barsā  nahīñ  hai
jahāñ  tak  shāḳh  hai  patta  nahīñ  hai
use  chhat  par  khaḌe  dekhā  thā  maiñ  ne
ki  jis  ke  ghar  kā  darvāza  nahīñ  hai
vahī  hai  ghoñsla  chimnī  ke  pīchhe
magar  chiḌiyoñ  kā  vo  joḌā  nahīñ  hai
badan  ke  loch  tak  āzād  hai  vo
use  tahzīb  ne  bāñdhā  nahīñ  hai
tire  hoñToñ  ko  chhū  dekhūñ  to  kahiyo
mire  hoñToñ  meñ  kyā  aisā  nahīñ  hai
badan  Dhāñpe  hue  phirtā  huuñ  yaanī
havas  ke  naam  par  dhāgā  nahīñ  hai
sabhī  insāñ  farishte  ho  ga.e  haiñ
kisī  dīvār  meñ  saaya  nahīñ  hai
maiñ  is  darja  muazzaz  ho  gayā  huuñ
vo  mere  sāmne  hañstā  nahīñ  hai