vo  ḳhāmushī  hai  ki  ḳhud  se  Darā  huā  huuñ  maiñ
pata  nahīñ  kise  āvāz  de  rahā  huuñ  maiñ
kuchh  aise  Dhab  se  ghaTā  hai  ga.e  dinoñ  meñ  chāñd
mire  ye  dhyān  paḌā  hai  ki  miT  rahā  huuñ  maiñ
palaT  rahūñgā  abhī  ghar  bahut  udaas  na  ho
pahāḌiyoñ  se  guzartī  huī  sadā  huuñ  maiñ
huī  jo  shaam  to  dil  meñ  udāsiyāñ  utrīñ
charāġh  jalne  lage  haiñ  to  bujh  gayā  huuñ  maiñ
vahī  shabāb  vahī  bekasī  kabhī  pahle
gumān  hai  ki  isī  raah  se  gayā  huuñ  maiñ
vo  ek  jism  vahī  kau.dtā  lapaktā  jism
ki  jis  ke  rañg  kī  nisbat  se  jogiyā  huuñ  maiñ
kabhī  kabhī  mire  sapnoñ  ko  chhīn  letī  hai
vo  ik  nigāh  ki  jis  kā  luTā  huā  huuñ  maiñ
laboñ  pe  tark-e-ta.alluq  kī  baat  aate  hī
har  ek  zaḳhm  pukārā  abhī  harā  huuñ  maiñ
kuchh  aise  Dhab  se  mujhe  log  'ashk'  kahte  haiñ
ki  apne  naam  se  begāna  ho  chalā  huuñ  maiñ