dhuul  āñkhoñ  meñ  paḌī  ho  jaise
har  koī  aur  koī  ho  jaise
saa.e  ke  saath  lage  rahte  haiñ
ye  bhī  apnā  hī  koī  ho  jaise
paañv  phailā.e  paḌī  hai  ummīd
muddatoñ  pau  na  phaTī  ho  jaise
apnī  har  baat  pe  hotā  hai  gumāñ
ham  ne  pahle  bhī  kahī  ho  jaise
hañsne  lagte  haiñ  to  dhamkātī  hai
zindagī  ham  se  baḌī  ho  jaise
dard  ko  ajnabī  kahne  vaale
tū  ne  āvāz  na  dī  ho  jaise
pau  phaTe  ḳhush  haiñ  ki  vo  aa.egā
aaj  kī  raat  abhī  ho  jaise
haa.e  vo  niiñd  uḌātī  āñkheñ
ḳhvāb  meñ  umr  kaTī  ho  jaise
is  tarah  aayā  hai  milne  mujh  se
mujh  se  milte  hī  banī  ho  jaise
har  kisī  chehre  se  uThtī  hai  lapak
shahr  meñ  aag  lagī  ho  jaise
dil  meñ  utre  to  chhupā  kar  rakhiye
raat  hiire  kī  kanī  ho  jaise
hijr  kī  raat  aur  'ashk'  itnī  sust
vaqt  kī  choT  lagī  ho  jaise