itnā  achchhā  na  agar  hotā  to  ham  sā  hotā
ham  ne  dekhā  hī  na  hotā  tujhe  chāhā  hotā
tū  mire  paas  bhī  hotā  to  bhalā  kyā  hotā
merā  ho  kar  bhī  agar  aur  kisī  kā  hotā
ab  to  kuchh  kuchh  ye  sabhī  sab  hī  meñ  mil  jaate  haiñ
koī  to  hotā  ki  maiñ  hotā  to  achchhā  hotā
nanhe  bachchoñ  kī  tarah  sote  haiñ  hañsne  vaalo
tum  ne  aaise  meñ  agar  aap  ko  dekhā  hotā
ab  to  jo  kuchh  huuñ  yahī  kuchh  huuñ  burā  huuñ  ki  bhalā
aisā  kyā  kahiye  ki  yuuñ  hotā  to  kaisā  hotā
jab  daraḳhtoñ  meñ  havā  loriyāñ  gaatī  guzrī
tum  ne  aaise  meñ  kisī  aur  ko  dekhā  hotā
ye  añdherā  ki  rañge  jaatā  hai  Tahnī  Tahnī
tere  chehre  kī  jhalak  dekh  ke  utrā  hotā
ek  duniyā  ne  tujhe  dekhā  hai  lekin  maiñ  ne
jaise  dekhā  hai  tujhe  vaise  na  dekhā  hotā
chāñd  yuuñ  shāḳhoñ  meñ  uljhā  hī  na  rahtā  kal  raat
'ashk'  vo  shaḳhs  agar  paas  hī  baiThā  hotā