har  qadam  champa.ī  phūloñ  ke  khilāne  vaale
gum  na  ho  jaa.eñ  tirī  raah  meñ  jaane  vaale
phir  baḌe  zor  se  darvāza  koī  band  huā
phir  kahā  dil  ne  abhī  ā.eñge  aane  vaale
umr-bhar  DhūñDte-phirte  rahe  apnī  āvāz
terī  āvāz  meñ  āvāz  milāne  vaale
chāñd  Thahrā  sā  havā  band  sī  patte  chup  se
so  rahe  jā  ke  kahīñ  pyaar  jagāne  vaale
aur  agar  maiñ  ne  tujhe  dekhnā  chāhā  hī  na  ho
muñh  udhar  pher  ke  ai  aañkh  churāne  vaale
kyā  koī  mere  sivā  mil  na  sakā  merā  harīf
merī  gardan  meñ  mire  haath  pahnāne  vaale
vo  bhī  majbūr  hai  ai  ashk'  sune  kis  kis  kī
ek  sunñe  ko  to  lākhoñ  hī  sunāne  vaale