jab  din  chaḌhā  badan  pe  badan  sī  sajī  qamīs
utrī  jo  raat  ghar  meñ  badan  raat  kī  qamīs
do-chār  saal  pahle  jise  DhūñDte  the  vo
jī  chāhtā  hai  phir  se  pahniye  vahī  qamīs
us  kā  durusht  lahja  use  is  tarah  phabā
silky  badan  pe  jaise  saje  khurdurī  qamīs
chehre  pe  phailtā  hai  vahī  jogiyā  badan
āñkhoñ  meñ  kauñdtī  hai  vahī  beḳhnī  qamīs
āḳhir  kahāñ  kahāñ  se  rafū  kījiye  ise
ab  to  jahāñ-tahāñ  se  nikalne  lagī  qamīs
badlī  jo  jagmagāte  hue  chāñd  par  paḌī
yaad  aa  ga.ī  kisī  kī  badan  se  bharī  qamīs
jī  chāhtā  hai  aaj  alganī  ye  dekhiye
saarī  vahī  saped  vahī  kāsnī  qamīs
kis  se  gilā  kareñ  ki  ga.ī  jhol  rah  ga.e
jaisī  bhī  mil  ga.ī  hai  pahniye  yahī  qamīs