patjhaḌ  kā  mausam  thā  lekin  shāḳh  pe  tanhā  phuul  khilā  thā
jis  ko  ham  patthar  samjhe  the  chashme  jaisā  phuuT  bahā  thā
ab  to  āñkheñ  paap  bharī  haiñ  ek  samay  yaaro  aisā  thā
agle  ghar  kī  chhat  ke  pīchhe  chāñd  bahut  pyārā  lagtā  thā
nañg-dhaḌañg  ik  nanhā-munnā  pīchhe  pīchhe  dauḌ  rahā  thā
aage  uḌne  vaale  vaqt  ne  pal-bhar  ko  muḌ  kar  dekhā  thā
phūloñ  vaale  tarkash  ke  ik  tiir  ne  merī  āñkheñ  le  liiñ
aur  jis  ne  chilla  khīñchā  thā  vo  bhī  ik  andhā  laḌkā  thā
ghar  se  niklo  dhuup  meñ  baiTho  dekho  us  pīpal  kā  saaya
jis  ke  nīche  tum  aisā  ik  bholā  bachcha  khel  rahā  thā
jo  pāgal  aurat  parsoñ  tak  ik  guḌiyā  nochā  kartī  thī
kal  us  kī  jhilmil  chunarī  meñ  ek  maTiyālā  guDDā  sā  thā
yuuñ  to  harī-bharī  rāhoñ  meñ  roz  nayā  melā  lagtā  hai
jab  maiñ  ghar  se  niklā  yā  to  maiñ  thā  yā  mirā  saayā  thā
maiñ  samjhā  thā  mere  sar  aur  zaḳhm  kī  nisbat  pur-ma.anī  hai
aur  koī  thā  jis  kī  ḳhātir  bachchoñ  ne  patthar  pheñkā  thā
ashk'  ik  muddat  tak  gum-sum  se  peḌ  ne  rim-jhim  barkhā  jhelī
aag  lagī  to  chiñgārī  ke  chāroñ  or  dhuāñ  phailā  thā