mujhe  ma.asūmiyat  se  dekhtā  hai
vo  dhokā  khaa.e  hai  yā  de  rahā  hai
maiñ  kitnā  ajnabī  huuñ  apnī  ḳhātir
mujhe  har  aadmī  pahchāntā  hai
ajab  hai  terī  yak-rañgī  ki  pyāre
jahāñ  tak  dekhtā  huuñ  aa.ina  hai
hamārī  bhuuk  se  bhūkī  hai  duniyā
hamārī  pyaas  se  sahrā  banā  hai
nikal  bhī  lo  ki  is  bastī  meñ  aksar
darīchoñ  se  samundar  jhāñktā  hai
vo  apne  haath  par  mehñdī  rachā  kar
muqaddar  kī  lakīreñ  DhūñDhtā  hai
tire  hoñToñ  kī  nam  golā.iyoñ  meñ
na  jaane  kis  ke  dukh  kā  zā.iqa  hai
kahīñ  'pāshī'  kahīñ  'alvī'  kahīñ  'ashk'
bas  ik  dukh  hai  magar  ka.ī  tarah  kā  hai