kaise  kaheñ  ki  chaar  taraf  dā.era  na  thā
jaate  kahāñ  ki  ḳhud  se  pare  rāstā  na  thā
jab  saañs  le  rahī  thī  daraḳhtoñ  ke  ās-pās
āvāz  de  rahī  thī  koī  boltā  na  thā
ḳhud  se  chale  to  rah-guzar  ā.īna  ho  ga.ī
apne  sivā.e  aur  koī  sūjhtā  na  thā
ab  ke  basant  aa.ī  to  āñkheñ  ujaḌ  ga.iiñ
sarsoñ  ke  khet  meñ  koī  patta  harā  na  thā
parda  hilā  ke  bād-e-sahar  duur  tak  ga.ī
ḳhushbū  kidhar  se  aa.ī  kisī  ko  patā  na  thā
guzrī  tamām  umr  usī  shahr  meñ  jahāñ
vāqif  sabhī  the  go  koī  pahchāntā  na  thā
ai  'ashk'  ik  kitāb  paḌhī  thī  varaq  varaq
vo  tīrgī  thī  lafz  koī  sūjhtā  na  thā