rone  vāloñ  ne  tire  ġham  ko  sarāhā  hī  nahīñ
raat  ḳhush  rah  ke  bhī  kaT  saktī  hai  sochā  hī  nahīñ
na  kahīñ  abr  kā  ghūñghaT  na  havā  kī  pāzeb
din  ka.ī  din  se  tire  rañg  meñ  dekhā  hī  nahīñ
tū  bhī  in  ujḌe  dayāroñ  meñ  hai  merī  mānind
aisā  lagtā  hai  ki  tū  ne  mujhe  dekhā  hī  nahīñ
tujh  se  shikva  bhī  agar  ho  to  koī  baat  bhī  ho
aa.ina  chhoḌ  ke  mujh  ko  koī  samjhā  hī  nahīñ
ik  ye  patthar  hai  ki  Thokar  se  bahut  duur  gayā
ek  ye  dil  hai  ki  siine  se  nikaltā  hī  nahīñ
yuuñ  to  is  raah  meñ  lahke  ka.ī  āñchal  lekin
dil  pe  vo  rañg  chaḌhā  hai  ki  utartā  hī  nahīñ
baiTh  rahiye  bhī  to  kyā  rah-guzār-e-shab  meñ
ab  ye  rasta  tirī  āñkhoñ  se  guzartā  hī  nahīñ