dukhtī  hai  ruuh  paañv  ko  lāchār  dekh  kar
ruk  jā.eñge  kahīñ  koī  dīvār  dekh  kar
subkī  na  ho  kahīñ  taraf-e-yār  dekh  kar
āñkheñ  uThā.iye  bhī  to  dastār  dekh  kar
niklo  jo  ban-sañvar  ke  to  bāzār  dekh  kar
māñgeñ  haiñ  mol  shakl-e-ḳharīdār  dekh  kar
kahnā  to  bas  yahī  hai  ki  chāheñ  haiñ  ham  tujhe
ghabrā.iyo  na  baat  kā  bistār  dekh  kar
sustā.e  hai  irāda  tasāhul  ke  rū-ba-rū
dukhte  haiñ  paañv  sāya-e-dīvār  dekh  kar
apnoñ  se  muñh  chhupā.e  phire  hai  ik  aadmī
jebeñ  TaTol  ke  kabhī  bāzār  dekh  kar
mārūñ  huuñ  hāth-pāoñ  bahut  'ashk'  ḳhud  ko  maiñ
apne  hī  bāzuoñ  meñ  giraftār  dekh  kar