Abul Mujahid Zahid

nai subh chahte hain nai sham chahte hain

Abul Mujahid Zahid

Lakhimpur Kheri, Uttar pradesh, India

1928-2009
na.ī sub.h chāhte haiñ na.ī shaam chāhte haiñ
jo ye roz o shab badal de vo nizām chāhte haiñ
vahī shaah chāhte haiñ jo ġhulām chāhte haiñ
koī chāhtā hī kab hai jo avaam chāhte haiñ
isī baat par haiñ barham ye sitamgarān-e-ālam
ki jo chhin gayā hai ham se vo maqām chāhte haiñ
kise harf-e-haq sunā.ūñ ki yahāñ to us ko sunñā
na ḳhavās chāhte haiñ na avaam chāhte haiñ
ye nahīñ ki tū ne bhejā hī nahīñ payām koī
magar ik vahī na aayā jo payām chāhte haiñ
tirī raah dekhtī haiñ mirī tishna-kām āñkheñ
tire jalve mere ghar ke dar-o-bām chāhte haiñ
vo kitāb-e-zindagī hī na huī murattab ab tak
ki ham intisāb jis kā tire naam chāhte haiñ
na murād hogī puurī kabhī un shikāriyoñ kī
mujhe dekhnā jo 'zāhid' tah-e-dām chāhte haiñ
Top Urdushayar.com