ma.arka  ḳhatm  huā  jañg  abhī  jaarī  hai
dil  kī  māneñ  ki  ḳhirad  kī  yahī  dushvārī  hai
koī  pattā  nahīñ  hiltā  hai  na  khultī  hai  zabāñ
aah  phir  se  kisī  tūfān  kī  tayyārī  hai
kyuuñ  na  ye  dekh  ke  bīnā.ī  daġhā  de  jaa.e
shams  par  bhī  abhī  zulmat  kā  fusūñ  taarī  hai
ab  ye  hasrat  bhī  liye  jaate  haiñ  dil  kī  dil  meñ
ye  to  kah  lete  tirā  tiir  bahut  kaarī  hai
haa.e  kam-zarfī-e-dil  tū  ne  kahīñ  kā  na  rakhā
aah  ne  kah  diyā  ta.azīr  bahut  bhārī  hai
tere  mashkūr  haiñ  hamdam  kiyā  vāzeh  tū  ne
fe.al-e-ġhārat-garī  sayyād  kī  nā-chārī  hai
vaqt-e-furqat  ye  karam  'soz'  pe  barpā  kar  de
hañs  ke  kah  de  ki  ye  in.ām-e-vafādārī  hai