kanār-e-dasht  akele  Thaharne  par  hogā
diloñ  meñ  ḳhauf  kā  andāza  Darne  par  hogā
samajhtā  hai  mirī  aadat  vo  husn-e-be-parvā
sameT  lūñgā  use  jab  bikharne  par  hogā
payām  de  na  sakī  gul  kā  bū-e-sust-ḳhirām
na  jaane  ab  kahāñ  mausam  guzarne  par  hogā
kahīñ  pe  kaa.ī  kahīñ  habs  aur  kahīñ  daldal
ye  haal  shahr  kā  paanī  utarne  par  hogā
maiñ  sochtā  huuñ  daraḳhtoñ  kī  chhāñv  meñ  'shāhīñ'
ki  tai  tamām  safar  sirf  karne  par  hogā