Basheer Ahmad Basheer

in chaTaKHte pattharon par panw dharna dhyan se

Basheer Ahmad Basheer

in chaTaḳhte pattharoñ par paañv dharnā dhyān se

Dhal chukī hai shaam vaadī meñ utarnā dhyān se

jāmid-o-sākit sahī dīvār-o-dar bahre nahīñ

ghar tanhā.ī ho phir bhī baat karnā dhyān se

kaan mat dharnā kisī āvāz par kaisī bhī ho

koī roke bhī to raste meñ Thaharnā dhyān se

dekhnā saaya kahīñ koī ta.āqub meñ na ho

shahr vīrān galiyoñ se guzarnā dhyān se

raah meñ dekho koī manzar to rakhnā zehn meñ

phir kahīñ fursat mile to rañg bharnā dhyān se

kitne sūraj tum se pahle is safar meñ jal-bujhe

is jahān-e-tīra-ḳhātir par ubharnā dhyān se

vaqt ke saath apne andāze ġhalat nikle 'bashīr'

kis qadar mushkil hai pyāroñ utarnā dhyān se

Top Urdushayar.com