duur  tak  chāroñ  taraf  mere  sivā  koī  na  thā
phir  palak  jhapkī  to  kyā  dekhā  ki  ḳhud  maiñ  bhī  na  thā
ik  taḌap  bijlī  kī  aur  dīvār-o-dar  miTTī  ke  Dher
ik  taḌap  sho.ale  kī  aur  dariyāoñ  meñ  paanī  na  thā
dā.ere  bantī  sadā.eñ  chhū  ke  jab  hadd-e-ufuq
apne  markaz  kī  taraf  lauTīñ  to  kuchh  baaqī  na  thā
qaid-e-zindān-e-jasad  meñ  thā  ye  kab  kashf-e-vajūd
aur  bhī  kuchh  thā  maiñ  sirf  ik  paikar-e-ḳhākī  na  thā
kyā  ḳhabar  tum  ne  kahāñ  kis  ruup  meñ  dekhā  mujhe
maiñ  kahīñ  motī  kahīñ  patthar  kahīñ  ā.īna  thā
deñ  hisāb-e-roz-o-shab  kyā  us  ko  jis  ke  dard  se
koī  saa.at  koī  lamha  koī  pal  ḳhālī  na  thā
aarzū  la.al-o-gohar  kī  kis  liye  kartā  'bashīr'
harf-o-ma.anī  kā  ḳhazīna  kyā  use  kaafī  na  thā