apnī  aur  kisī  se  kis  din  rāh-o-rasm-o-rifāqat  thī
aatī  jaatī  saañs  thī  jis  kī  saa.at  sañgat  thī
tujh  ko  ḳhayāl  na  aayā  varna  kis  din  itne  garāñ  the  ham
ik  do  harf-e-muravvat  socho  kaun  sī  aisī  qīmat  thī
maiñ  bhī  apnī  dhun  meñ  ravāñ  thā  vo  bhī  apne-āp  meñ  gum
baat  kī  naubat  kaise  aatī  kis  ko  itnī  fursat  thī
biit  chuke  vo  din  vo  zamāne  rāhat  bharī  aziyyat  ke
yaad  kise  ab  kaun  batā.e  duurī  thī  ki  vo  qurbat  thī
kūcha  kūcha  phaileñ  bāteñ  qat.a-e-ta.alluq-ḳhātir  kī
auroñ  kā  to  zikr  hī  kyā  dīvār-o-dar  ko  hairat  thī
kitne  haiñ  jo  ab  tak  pahuñche  apnī  zaat  kī  manzil  tak
harf-o-bayāñ  se  baat  hai  bāhar  aisī  kaḌī  masāfat  thī
gosha-gīr  faqīr  the  ham  to  maslak  ijz-o-niyāz  'bashīr'
kyuuñ  be-sūd  kisī  se  ulajhte  apnī  kis  se  adāvat  thī