judā  bhī  ho  ke  vo  ik  pal  kabhī  judā  na  huā
ye  aur  baat  ki  dekhe  use  zamāna  huā
na  pūchh  merā  pata  mauja-e-havā  huuñ  maiñ
bhalā  havā  kā  bhī  koī  kabhī  Thikāna  huā
har  ek  samt  sahīfe  khule  paḌe  the  yahāñ
tirā  nasīb  ki  tū  harf-āshnā  na  huā
panāh  miltī  kise  merī  kibriyā.ī  se
ḳhudā  kā  shukr  maiñ  banda  huā  ḳhudā  na  huā
is  apnī  khoj  meñ  kyā  kyā  khule  na  bhed  magar
maiñ  huuñ  bhī  yā  ki  nahīñ  mujh  pe  aa.ina  na  huā
nidā-e-ġhaib  thī  terī  sadā  thī  dhaḌkan  thī
mire  shu.ūr  se  itnā  bhī  faisla  na  huā
shajar  to  raah  kā  saaya  haiñ  un  ko  kyā  mālūm
kahāñ  se  aayā  musāfir  kidhar  ravāna  huā
faqīr  ho  ke  liyā  tū  ne  kyā  'bashīr'  ki  jab
galīm-posh  bhī  tū  ho  ke  bā-safā  na  huā