jo  ġhair  ke  jazbāt  kī  tāzīm  karegā
vo  apnī  ḳhatāoñ  ko  bhī  taslīm  karegā
maiñ  us  ko  milūñgī  bhī  to  TukḌoñ  meñ  milūñgī
taslīm  se  pahle  mujhe  taqsīm  karegā
haq  baat  bhī  bātil  sī  lage  shīrīñ  zabāñ  meñ
vo  lahje  ko  is  vāste  ab  niim  karegā
vo  kaam  jahāñ  bhar  kī  davā.eñ  na  kareñgī
jo  kaam  mohabbat  kā  faqat  miim  karegā
be-kār  meñ  ham  māñgte  rahte  haiñ  duā.eñ
kyoñ  apne  hī  likkhe  meñ  vo  tarmīm  karegā