jab  tak  bulandiyoñ  pe  adab  se  khaḌī  rahī
ye  kāmrānī  sab  kī  nazar  meñ  baḌī  rahī
vahshat  meñ  vo  sadā.eñ  to  detā  rahā  mujhe
maiñ  ḳhaak  thī  to  ḳhaak  meñ  hī  bas  paḌī  rahī
dilkash  mujhe  banāyā  musavvir  ne  jaane  kyoñ
jo  bandishoñ  ke  frame  meñ  har  dam  jaḌī  rahī
us  ne  kahā  ki  jism  ke  through  ruuh  kī  hai  raah
maiñ  bypass  road  kī  zid  par  aḌī  rahī
yuuñ  to  kalā.ī  par  hai  sabhī  ke  ghaḌī  magar
bas  maiñ  kahāñ  kisī  ke  koī  bhī  ghaḌī  rahī
maiñ  mom  kā  badan  liye  chaltī  rahī  'anā'
aur  dhuup  mere  sar  pe  hamesha  kaḌī  rahī