hairāñ  hai  zamāne  meñ  kise  apnā  kahe  dil
chehre  to  haiñ  gul-rañg  magar  khoT  bhare  dil
kis  samt  liye  jaatā  hai  ye  daur-e-taraqqī
dhātoñ  ke  hue  jism  to  patthar  ke  bane  dil
ġhuncha  hai  to  chaTke  vo  sitārā  hai  to  chamke
betāb  hai  siine  meñ  dhaḌakne  ke  liye  dil
virāñ-kada-e-dahr  meñ  kyā  rakkhā  hai  'munzir'
kuchh  dard  ke  afsāne  to  kuchh  TuuTe  hue  dil