ḳhatā-vār-e-muravvat  ho  na  marhūn-e-karam  ho  jā
masarrat  sar  jhukā.egī  parastār-e-alam  ho  jā
inhī  be-rabt  ḳhvāboñ  se  koī  ta.abīr  niklegī
inhī  uljhī  huī  rāhoñ  pe  merā  ham-qadam  ho  jā
kisī  zardār  se  jins-e-tabassum  māñgne  vaale
kisī  bekas  ke  lāshe  par  sharīk-e-chashm-e-nam  ho  jā
kisī  din  in  añdheroñ  meñ  charāġhāñ  ho  hī  jā.egā
jalā  kar  dāġh-e-dil  koī  ziyā-e-shām-e-ġham  ho  jā
tujhe  suljhā.egā  ab  inqilāb-e-vaqt  kā  shāna
taqāzā-e-junūñ  hai  gesu-e-daurāñ  kā  ḳham  ho  jā
tajassus  markaz-e-taqdīr  kā  qaa.il  nahīñ  hotā
shu.ūr-e-bandagī!  begāna-e-dair-o-haram  ho  jā
ye  manzil  aur  gard-e-kārvāñ  'sāġhar'  kahāñ  apne
simaT  kar  rahguzār-e-vaqt  par  naqsh-e-qadam  ho  jā