vaqt  kī  umr  kyā  baḌī  hogī
ik  tire  vasl  kī  ghaḌī  hogī
dastakeñ  de  rahī  hai  palkoñ  par
koī  barsāt  kī  jhaḌī  hogī
kyā  ḳhabar  thī  ki  nok-e-ḳhanjar  bhī
phuul  kī  ek  pañkhuḌī  hogī
zulf  bal  khā  rahī  hai  māthe  par
chāñdnī  se  sabā  laḌī  hogī
ai  adam  ke  musāfiro  hushyār
raah  meñ  zindagī  khaḌī  hogī
kyuuñ  girah  gesuoñ  meñ  Daalī  hai
jaañ  kisī  phuul  kī  aḌī  hogī
iltijā  kā  malāl  kyā  kiije
un  ke  dar  par  kahīñ  paḌī  hogī
maut  kahte  haiñ  jis  ko  ai  'sāġhar'
zindagī  kī  koī  kaḌī  hogī