jazba-e-soz-e-talab  ko  be-karāñ  karte  chalo
kū-ba-kū  raushan  charāg-e-kārvāñ  karte  chalo
chashm-e-sāqī  pur-tabassum  mai-kadā  bahkā  huā
aao  qismat  ko  harīf-e-kahkashāñ  karte  chalo
chhīn  laao  āsmāñ  se  mehr-o-mah  kī  azmateñ
aur  TuuTe  jhoñpaḌoñ  ko  zau  fashāñ  karte  chalo
zindagī  ko  log  kahte  haiñ  barā.e-bandagī
zindagī  kaT  jā.egī  zikr-e-butāñ  karte  chalo
jin  se  zinda  ho  yaqīn  o  āgahī  kī  aabrū
ishq  kī  rāhoñ  meñ  kuchh  aise  gumāñ  karte  chalo
har  nafas  ai  jiine  vaalo  shaġhl-e-paimāna  rahe
be-ḳhudī  ko  zindagī  kā  pāsbāñ  karte  chalo
chheḌ  kar  'sāġhar'  kisī  ke  gesuoñ  kī  dāstāñ
in  shagūfoñ  ko  zarā  sho.ala-zabāñ  karte  chalo