mahfileñ  luT  ga.iiñ  jazbāt  ne  dam  toḌ  diyā
saaz  ḳhāmosh  haiñ  naġhmāt  ne  dam  toḌ  diyā
har  masarrat  ġham-e-dīroz  kā  unvān  banī
vaqt  kī  god  meñ  lamhāt  ne  dam  toḌ  diyā
an-ginat  mahfileñ  mahrūm-e-charāġhāñ  haiñ  abhī
kaun  kahtā  hai  ki  zulmāt  ne  dam  toḌ  diyā
aaj  phir  bujh  ga.e  jal  jal  ke  umīdoñ  ke  charāġh
aaj  phir  tāroñ  bharī  raat  ne  dam  toḌ  diyā
jin  se  afsāna-e-hastī  meñ  tasalsul  thā  kabhī
un  mohabbat  kī  rivāyāt  ne  dam  toḌ  diyā
jhilmilāte  hue  ashkoñ  kī  laḌī  TuuT  ga.ī
jagmagātī  huī  barsāt  ne  dam  toḌ  diyā
haa.e  ādāb-e-mohabbat  ke  taqāze  'sāġhar'
lab  hile  aur  shikāyāt  ne  dam  toḌ  diyā