terī  nazar  kā  rañg  bahāroñ  ne  le  liyā
afsurdagī  kā  ruup  tarānoñ  ne  le  liyā
jis  ko  bharī  bahār  meñ  ġhunche  na  kah  sake
vo  vāqi.a  bhī  mere  fasānoñ  ne  le  liyā
shāyad  milegā  qariya-e-mahtāb  meñ  sukūñ
ahl-e-ḳhirad  ko  aise  gumānoñ  ne  le  liyā
yazdāñ  se  bach  rahā  thā  jalālat  kā  ek  lafz
us  ko  haram  ke  shoḳh  bayānoñ  ne  le  liyā
terī  adā  se  ho  na  sakā  jis  kā  faisla
vo  zindagī  kā  raaz  nishānoñ  ne  le  liyā
afsāna-e-hayāt  kī  takmīl  ho  ga.ī
apnoñ  ne  le  liyā  ki  begānoñ  ne  le  liyā
bhūlī  nahīñ  vo  qaus-e-quzah  kī  sī  sūrateñ
'sāġhar'  tumheñ  to  mast  dhiyānoñ  ne  le  liyā