bhūlī  huī  sadā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
tum  se  kahīñ  milā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
manzil  nahīñ  huuñ  ḳhizr  nahīñ  rāhzan  nahīñ
manzil  kā  rāsta  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
merī  nigāh-e-shauq  se  har  gul  hai  devtā
maiñ  ishq  kā  ḳhudā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
naġhmoñ  kī  ibtidā  thī  kabhī  mere  naam  se
ashkoñ  kī  intihā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
gum-sum  khaḌī  haiñ  donoñ  jahāñ  kī  haqīqateñ
maiñ  un  se  kah  rahā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye
'sāġhar'  kisī  ke  husn-e-taġhāful-shi.ār  kī
bahkī  huī  adā  huuñ  mujhe  yaad  kījiye