tāroñ  se  merā  jaam  bharo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
ai  sākinān-e-ḳhuld  suno  maiñ  nashe  meñ  huuñ
kuchh  phuul  khil  rahe  haiñ  sar-e-shāḳh-e-mai-kada
tum  hī  zarā  ye  phuul  chuno  maiñ  nashe  meñ  huuñ
Thahro  abhī  to  sub.h  kā  maarā  hai  zau-fishāñ
dekho  mujhe  fareb  na  do  maiñ  nashe  meñ  huuñ
nashsha  to  maut  hai  ġham-e-hastī  kī  dhuup  meñ
bikhrā  ke  zulf  saath  chalo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
mela  yuuñ  hī  rahe  ye  sar-e-rahguzār-e-zīst
ab  jaam  sāmne  hī  rakho  maiñ  nashe  meñ  huuñ
paa.el  chhanak  rahī  hai  nigār-e-ḳhayāl  kī
kuchh  ehtimām-e-raqs  karo  maiñ  nashe  meñ  huuñ
maiñ  Dagmagā  rahā  huuñ  bayābān-e-hosh  meñ
mere  abhī  qarīb  raho  maiñ  nashe  meñ  huuñ
hai  sirf  ik  tabassum-e-rañgīñ  bahut  mujhe
'sāġhar'  ba-dosh  lāla-ruḳho  maiñ  nashe  meñ  huuñ