rūdād-e-mohabbat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
do  din  kī  masarrat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
jab  jaam  diyā  thā  saaqī  ne  jab  daur  chalā  thā  mahfil  meñ
ik  hosh  kī  saa.at  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
ab  vaqt  ke  nāzuk  hoñToñ  par  majrūh  tarannum  raqsāñ  hai
bedād-e-mashiyyat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
ehsās  ke  mai-ḳhāne  meñ  kahāñ  ab  fikr-o-nazar  kī  qindīleñ
ālām  kī  shiddat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
kuchh  haal  ke  andhe  sāthī  the  kuchh  maazī  ke  ayyār  sajan
ahbāb  kī  chāhat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
kāñToñ  se  bharā  hai  dāman-e-dil  shabnam  se  sulagtī  haiñ  palkeñ
phūloñ  kī  saḳhāvat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e
ab  apnī  haqīqat  bhī  'sāġhar'  be-rabt  kahānī  lagtī  hai
duniyā  kī  haqīqat  kyā  kahiye  kuchh  yaad  rahī  kuchh  bhuul  ga.e