har  roz  hī  din  bhar  ke  jhameloñ  se  nimaT  ke
ro  lete  haiñ  ham  raat  ke  āñchal  se  lipaT  ke
ham  kaun  haiñ  kyuuñ  baiThe  haiñ  yuuñ  rāhguzar  par
pūchhā  na  kisī  ik  bhī  musāfir  ne  palaT  ke
kyā  kyā  the  mire  dil  ke  sahīfe  meñ  mazāmīñ
dekhe  na  kisī  ne  mire  aurāq  ulaT  ke
phirte  rahe  āvāra  ḳhayālāt  kī  sūrat
kyā  chiiz  thī  ham  jis  ke  liye  dahr  meñ  bhaTke
shab  karvaTeñ  lete  to  na  guzre  kabhī  'munzir'
so  jaao  miyāñ  dard  kī  bāhoñ  meñ  simaT  ke