ye  jo  dīvāne  se  do-chār  nazar  aate  haiñ
in  meñ  kuchh  sāhab-e-asrār  nazar  aate  haiñ
terī  mahfil  kā  bharam  rakhte  haiñ  so  jaate  haiñ
varna  ye  log  to  bedār  nazar  aate  haiñ
duur  tak  koī  sitāra  hai  na  koī  jugnū
marg-e-ummīd  ke  āsār  nazar  aate  haiñ
mire  dāman  meñ  sharāroñ  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
aap  phūloñ  ke  ḳharīdār  nazar  aate  haiñ
kal  jinheñ  chhū  nahīñ  saktī  thī  farishtoñ  kī  nazar
aaj  vo  raunaq-e-bāzār  nazar  aate  haiñ
hashr  meñ  kaun  gavāhī  mirī  degā  'sāġhar'
sab  tumhāre  hī  taraf-dār  nazar  aate  haiñ