charāġh-e-tūr  jalāo  baḌā  añdherā  hai
zarā  naqāb  uThāo  baḌā  añdherā  hai
abhī  to  sub.h  ke  māthe  kā  rañg  kaalā  hai
abhī  fareb  na  khaao  baḌā  añdherā  hai
vo  jin  ke  hote  haiñ  ḳhurshīd  āstīnoñ  meñ
unheñ  kahīñ  se  bulāo  baḌā  añdherā  hai
mujhe  tumhārī  nigāhoñ  pe  e'timād  nahīñ
mire  qarīb  na  aao  baḌā  añdherā  hai
farāz-e-arsh  se  TuuTā  huā  koī  taara
kahīñ  se  DhūñD  ke  laao  baḌā  añdherā  hai
basīratoñ  pe  ujāloñ  kā  ḳhauf  taarī  hai
mujhe  yaqīn  dilāo  baḌā  añdherā  hai
jise  zabān-e-ḳhirad  meñ  sharāb  kahte  haiñ
vo  raushnī  sī  pilāo  baḌā  añdherā  hai
ba-nām-e-zohra-jzbīnān-e-ḳhitta-e-firdaus
kisī  kiran  ko  jagāo  baḌā  añdherā  hai