saaqī  kī  ik  nigāh  ke  afsāne  ban  ga.e
kuchh  phuul  TuuT  kar  mire  paimāne  ban  ga.e
kaaTī  jahāñ  tasavvur-e-jānāñ  meñ  ek  shab
kahte  haiñ  log  us  jagah  but-ḳhāne  ban  ga.e
jin  par  na  saa.e  zulf-e-ġhazālāñ  ke  paḌ  sake
ehsās  kī  nigāh  meñ  vīrāne  ban  ga.e
jo  pī  sake  na  surḳh  laboñ  kī  tajalliyāñ
duniyā  ke  tajrabāt  se  anjāne  ban  ga.e
'sāġhar'  vahī  maqām  hai  ik  manzil-e-farāz
apne  bhī  jis  maqām  pe  begāne  ban  ga.e