chāñdnī  shab  hai  sitāroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo
iid  aa.ī  hai  bahāroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo
chashm-e-sāqī  se  kaho  tishna  umīdoñ  ke  liye
tum  bhī  kuchh  bāda-gusāroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo
har  baras  sozan-e-taqdīr  chalā  kartī  hai
ab  to  kuchh  sīna-fagāroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo
log  kahte  haiñ  taqaddus  ke  subū  TūTeñge
jhūmtī  rāh-guzāroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo
qulzum-e-ḳhuld  se  'sāġhar'  kī  sadā  aatī  hai
apne  be-tāb  kināroñ  kī  ridā.eñ  sī  lo