hai  duā  yaad  magar  harf-e-duā  yaad  nahīñ
mere  naġhmāt  ko  andāz-e-navā  yaad  nahīñ
maiñ  ne  palkoñ  se  dar-e-yār  pe  dastak  dī  hai
maiñ  vo  saa.il  huuñ  jise  koī  sadā  yaad  nahīñ
maiñ  ne  jin  ke  liye  rāhoñ  meñ  bichhāyā  thā  lahū
ham  se  kahte  haiñ  vahī  ahd-e-vafā  yaad  nahīñ
kaise  bhar  aa.iiñ  sar-e-shām  kisī  kī  āñkheñ
kaise  tharrā.ī  charāġhoñ  kī  ziyā  yaad  nahīñ
sirf  dhundlā.e  sitāroñ  kī  chamak  dekhī  hai
kab  huā  kaun  huā  kis  se  ḳhafā  yaad  nahīñ
zindagī  jabr-e-musalsal  kī  tarah  kaaTī  hai
jaane  kis  jurm  kī  paa.ī  hai  sazā  yaad  nahīñ
aao  ik  sajda  kareñ  ālam-e-mad.hoshī  meñ
log  kahte  haiñ  ki  'sāġhar'  ko  ḳhudā  yaad  nahīñ