har  marhala-e-shauq  se  lahrā  ke  guzar  jā
āsār-e-talātum  hoñ  to  bal  khā  ke  guzar  jā
bahkī  huī  maḳhmūr  ghaTāoñ  kī  sadā  sun
firdaus  kī  tadbīr  ko  bahlā  ke  guzar  jā
māyūs  haiñ  ehsās  se  uljhī  huī  rāheñ
paa.el  dil-e-majbūr  kī  chhankā  ke  guzar  jā
yazdān  o  ahrman  kī  hikāyāt  ke  badle
insāñ  kī  rivāyāt  ko  dohrā  ke  guzar  jā
kahtī  haiñ  tujhe  mai-kada-e-vaqt  kī  rāheñ
bigḌī  huī  taqdīr  ko  suljhā  ke  guzar  jā
bujhtī  hī  nahīñ  tishnagī-e-dil  kisī  sūrat
ai  abr-e-karam  aag  hī  barsā  ke  guzar  jā
kāñTe  jo  lageñ  haath  to  kuchh  ġham  nahīñ  'sāġhar'
kaliyoñ  ko  har  ik  gaam  pe  bikhrā  ke  guzar  jā