nazar  nazar  be-qarār  sī  hai  nafas  nafas  meñ  sharār  sā  hai
maiñ  jāntā  huuñ  ki  tum  na  aaoge  phir  bhī  kuchh  intizār  sā  hai
mire  azīzo  mire  rafīqo  chalo  koī  dāstān  chheḌo
ġham-e-zamāna  kī  baat  chhoḌo  ye  ġham  to  ab  sāzgār  sā  hai
vahī  fasurda  sā  rañg-e-mahfil  vahī  tirā  ek  aam  jalva
mirī  nigāhoñ  meñ  baar  sā  thā  mirī  nigāhoñ  meñ  baar  sā  hai
kabhī  to  aao  kabhī  to  baiTho  kabhī  to  dekho  kabhī  to  pūchho
tumhārī  bastī  meñ  ham  faqīroñ  kā  haal  kyuuñ  sogvār  sā  hai
chalo  ki  jashn-e-bahār  dekheñ  chalo  ki  zarf-e-bahār  jāñcheñ
chaman  chaman  raushnī  huī  hai  kalī  kalī  pe  nikhār  sā  hai
ye  zulf-bar-dosh  kaun  aayā  ye  kis  kī  aahaT  se  gul  khile  haiñ
mahak  rahī  hai  fazā-e-hastī  tamām  aalam  bahār  sā  hai