ek  va.ada  hai  kisī  kā  jo  vafā  hotā  nahīñ
varna  in  tāroñ  bharī  rātoñ  meñ  kyā  hotā  nahīñ
jī  meñ  aatā  hai  ulaT  deñ  un  ke  chehre  se  naqāb
hausla  karte  haiñ  lekin  hausla  hotā  nahīñ
sham.a  jis  kī  aabrū  par  jaan  de  de  jhuum  kar
vo  patiñgā  jal  to  jaatā  hai  fanā  hotā  nahīñ
ab  to  muddat  se  rah-o-rasm-e-nazāra  band  hai
ab  to  un  kā  tuur  par  bhī  sāmnā  hotā  nahīñ
har  shanāvar  ko  nahīñ  miltā  talātum  se  ḳhirāj
har  safīne  kā  muhāfiz  nāḳhudā  hotā  nahīñ
har  bhikārī  pā  nahīñ  saktā  maqām-e-ḳhvājgī
har  kas-o-nā-kas  ko  terā  ġham  atā  hotā  nahīñ
haa.e  ye  begānagī  apnī  nahīñ  mujh  ko  ḳhabar
haa.e  ye  aalam  ki  tū  dil  se  judā  hotā  nahīñ
bārhā  dekhā  hai  'sāġhar'  rahguzār  ishq  meñ
kārvāñ  ke  saath  aksar  rahnumā  hotā  nahīñ