ma.āl-e-naġhma-o-mātam  faroḳht  hotā  hai
ḳhushī  ke  saath  yahāñ  ġham  faroḳht  hotā  hai
vo  jis  ko  aaj  bhī  kuchh  log  husn  kahte  haiñ
ba-sad-nigārish-e-paiham  faroḳht  hotā  hai
fareb-ḳhurda  tabassum  ḳharīdne  ke  liye
vaqār-e-dīda-e-pur-nam  faroḳht  hotā  hai
baḌe  hasīn  ghanere  siyāh  pardoñ  meñ
jamāl-e-ismat-e-maryam  faroḳht  hotā  hai
bahār-e-vādi-e-gañg-o-jaman  ke  saath  yahāñ
vaqār-e-kausar-o-zamzam  faroḳht  hotā  hai
vo  jism-e-marmarīñ  nazreñ  bhī  jis  ko  chhū  na  sakīñ
barā.e-raunaq-e-ālam  faroḳht  hotā  hai
tilism-ḳhāna-e-sad-rañg-o-bū  meñ  ai  'sāġhar'
fareb-e-shola-o-shabnam  faroḳht  hotā  hai