rāhzan  aadmī  rahnumā  aadmī
bār-hā  ban  chukā  hai  ḳhudā  aadmī
haa.e  taḳhlīq  kī  kār-pardāziyāñ
ḳhaak  sī  chiiz  ko  kah  diyā  aadmī
khul  ga.e  jannatoñ  ke  vahāñ  zā.iche
do  qadam  jhuum  kar  jab  chalā  aadmī
zindagī  ḳhānqāh-e-shahūd-o-baqā
aur  lauh-e-mazār-e-fanā  aadmī
sub.h-dam  chāñd  kī  ruḳhsatī  kā  samāñ
jis  tarah  bahr  meñ  Dūbtā  aadmī
kuchh  farishtoñ  kī  taqdīs  ke  vāste
sah  gayā  aadmī  kī  jafā  aadmī
gūñjtī  hī  rahegī  falak-dar-falak
hai  mashiyyat  kī  aisī  sadā  aadmī
aas  kī  mūrateñ  pūjte  pūjte
ek  tasvīr  sī  ban  gayā  aadmī