ġham  ke  mujrim  ḳhushī  ke  mujrim  haiñ
log  ab  zindagī  ke  mujrim  haiñ
aur  koī  gunāh  yaad  nahīñ
sajda-e-be-ḳhudī  ke  mujrim  haiñ
istiġhāsa  hai  raah  o  manzil  kā
rāhzan  rahbarī  ke  mujrim  haiñ
mai-kade  meñ  ye  shor  kaisā  hai
bāda-kash  bandagī  ke  mujrim  haiñ
dushmanī  aap  kī  ināyat  hai
ham  faqat  dostī  ke  mujrim  haiñ
ham  faqīroñ  kī  sūratoñ  pe  na  jā
ḳhidmat-e-ādmī  ke  mujrim  haiñ
kuchh  ġhazālān-e-āgahī  'sāġhar'
naġhma-o-shā.erī  ke  mujrim  haiñ