tirī  nazar  ke  ishāroñ  se  khel  saktā  huuñ
jigar-faroz  sharāroñ  se  khel  saktā  huuñ
tumhāre  dāman-e-rañgīñ  kā  aasrā  le  kar
chaman  ke  mast  nazāroñ  se  khel  saktā  huuñ
kisī  ke  ahd-e-mohabbat  kī  yaad  baaqī  hai
baḌe  hasīn  sahāroñ  se  khel  saktā  huuñ
maqām-e-hosh-o-ḳhirad  intiqām-e-vahshat  hai
junūñ  kī  rāh-guzāroñ  se  khel  saktā  huuñ
mujhe  ḳhizāñ  ke  bagūle  salām  karte  haiñ
hayā-farosh  chanāroñ  se  khel  saktā  huuñ
sharāb  o  sher  ke  dariyā  meñ  Duub  kar  'sāġhar'
surūr-o-kaif  ke  dhāroñ  se  khel  saktā  huuñ