har  shai  hai  pur-malāl  baḌī  tez  dhuup  hai
har  lab  pe  hai  savāl  baḌī  tez  dhuup  hai
chakrā  ke  gir  na  jā.ūñ  maiñ  is  tez  dhuup  meñ
mujh  ko  zarā  sambhāl  baḌī  tez  dhuup  hai
de  hukm  bādaloñ  ko  ḳhayābāñ-nashīn  huuñ
jām-o-subū  uchhāl  baḌī  tez  dhuup  hai
mumkin  hai  abr-e-rahmat-e-yazdāñ  baras  paḌe
zulfoñ  kī  chhāñv  Daal  baḌī  tez  dhuup  hai
ab  shahr-e-ārzū  meñ  vo  ra.anā.iyāñ  kahāñ
haiñ  gul-kade  niDhāl  baḌī  tez  dhuup  hai
samjhī  hai  jis  ko  sāya-e-ummīd  aql-e-ḳhām
'sāġhar'  kā  hai  ḳhayāl  baḌī  tez  dhuup  hai