so.e  hue  jazboñ  ko  jagā  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī
sañg  tire  bas  ik  din  aa  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī
terī  bātoñ  kī  ḳhushbū  se  mahkī  vaadī  vaadī
phūloñ  ke  ambār  lagā  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī
nadī  kināre  kā  vo  manzar  takne  ko  jī  chāhe
kūñjoñ  kī  ik  Daar  uḌā  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī
baiThe  baiThe  jal  uThtī  haiñ  bhīgī  bhīgī  āñkheñ
āb-e-ravāñ  meñ  aag  lagā  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī
roz  hī  sūraj  nikle  'manzar'  roz  hī  sūraj  Duube
maiñ  jis  kī  raah  dekhūñ  jā  kar  phir  vo  shaam  na  aa.ī