Basheer Munzir

kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein

Basheer Munzir

Gujrat, Punjab, Pakistan

1925-1990
kyā bichhaḌ kar rah gayā jaane bharī barsāt meñ
ek koyal kūktī hai aam ke bāġhāt meñ
soch meñ gum fāḳhta baiThī huī hai shāḳh par
baaz hai uupar to nīche ik shikārī ghaat meñ
vaqt ke panchhī ko uḌnā thā bil-āḳhir uḌ gayā
āḌī-tirchhī kuchh lakīreñ haiñ faqat ab haath meñ
koī jiitā hai jiye gar koī martā hai mare
aaj ke insāñ ko dilchaspī hai apnī zaat meñ
ik ta.alluq ik mohabbat hai mujhe is shahr se
mere bachpan kā baḌā hissa kaTā gujrāt meñ
jal rahī thī raat merī tap rahā thā merā din
kyā jiye manzar koī aise kaThin hālāt meñ
Top Urdushayar.com