Faez Dehlvi

ek pal ja na kahun nain sun ai nur-e-basar

Faez Dehlvi

1690-1737
ek pal jā na kahūñ nain suuñ ai nūr-e-basar
Tuk na ho is dil-e-tārīk suuñ ai badr badar
terī is sub.h binā gosh-o-ḳhat-e-mushkīñ suuñ
sair kartā huuñ ajab shām-o-sahar shām-o-sahar
jal ke maiñ surma huā balki huā kājal bhī
ḳhāna-e-chashm meñ tujh pā.ūñ jo Tuk raah magar
rāh-dārāñ leveñ har gaam meñ jiiv kā hāsil
haigā is raah meñ ai umr-e-abad jaañ kā ḳhatar
qible suuñ muuñh phirāyā tire mukh kī jānib
kiyā zāhid ne make suuñ sū-e-but-ḳhāna safar
chāñd sūraj kī rakh ainak kuuñ sadā pīr-e-falak
ḳham ho kartā hai nazar taaki dekhe terī kamar
Top Urdushayar.com