sajan  mujh  par  bahut  nā-mehrbāñ  hai
kahāñ  vo  āshiqāñ  kā  qadar-dāñ  hai
kahūñ  ahvāl  dil  kā  us  ko  kyūñkar
bahut  nāzuk-mizāj  o  bad-zabāñ  hai
mirā  dil  band  hai  us  nāznīñ  par
ajab  us  ḳhush-liqā  meñ  ek  aañ  hai
bhavāñ  shamshīr  haiñ  o  zulf  phāñsī
har  ik  palak  us  kī  mānind-e-sināñ  hai
ḳhudā  us  ko  rakkhe  duniyā  meñ  mahfūz
nihāl-e-ārzū  ārām-e-jāñ  hai
chandr  be-vaqar  hai  us  badr  aage
safā  us  mukh  kī  har  ik  par  ayaañ  hai
samajhtā  hai  tire  ash.ār  'fā.ez'
ḳhudā  ke  fazl  suuñ  vo  nukta-dāñ  hai