ham  hī  badleñge  rah-o-rasm-e-gulistāñ  yaaro
ham  se  vābasta  hai  ta.amīr-e-bahārāñ  yaaro
qurbat-e-kākul-o-ruḳhsār  se  jī  tañg  nahīñ
ik  zarā  chain  to  de  gardish-e-daurāñ  yaaro
laakh  ham  marhala-e-dār-o-rasan  se  guzre
zindagī  se  na  hue  phir  bhī  gurezāñ  yaaro
ik  thakā  ḳhvāb  ki  siine  meñ  sulagtā  hai  abhī
ik  dabī  yaad  ki  hai  nīsh-e-rag-e-jāñ  yaaro
āmad-e-sub.h  se  māyūs  nahīñ  haiñ  lekin
Das  na  le  tīrgī-e-shām-e-ġharībāñ  yaaro
aur  kuchh  duur  ki  thoḌī  hai  rah-e-jaur-o-sitam
aur  kuchh  der  ki  TuuTā  dar-e-zindāñ  yaaro
apnā  dukh  ho  to  'riyāz'  us  kā  mudāvā  karte
haiñ  sabhī  sho.ala-ba-jāñ  chāk-e-garebāñ  yaaro